Tuesday, 30 June 2009

Ghazals of Bashir Badr

Kise Khabar thi Tujhe Is Tarah Sajaoonga
Zamaana Dekhega aur Main na Dekh paoonga

Hayaat-o-Maut,Firaaq-o-Wasaal sab yakja
Main ek Raat mein Kitne Diye Jalaoonga

Pala Barha Hoon abhi tak inhi Andheron mein
Main Tez Dhoop se kaise Nazar Milaaoonga

Mere Mizaaj ki yeh Mardana Fitrat hai
Sawere Sari Aziyat main Bhool Jaoonga

Tum ek Perd se baawasta ho magar main to
hawa ke Saath Bahut Door Door

Monday, 29 June 2009

Jab Sehar chup ho Hansa lo Hum ko

Jab Sehar chup ho Hansa lo Hum ko
Jab Andhera ho jala lo hum ko

hum Haqeeqat hain Nazar aate hain
Daastano mein Chupa lo hum ko

Din na Paa Jaye kahi Shab ka Raaz
Subah se pehle Utha lo Hum ko

Hum Zamaane ke Sataaye hain Bahut
Apne Seene se laga lo Hum ko

Waqt ke Honth hume Choo Lenge
Un kahe Bol Hain Gaa lo Hum ko

Saturday, 27 June 2009

shayaris and ghazals of bashir badr

Patthar ke Jigar waalo Gham mein wo rawaani hai
Khud raah bana lega behta hua paani hai

Ik Zehan-e-Pareshaa'n mein Khaab-e-Ghazalistan hai
Patthar ki Hifaazat mein Sheeshe ki Jawani hai

Dil so jo Choote Baadal To Aankh mein Saawan hai
Thehra hua Dariya hai Behta hua paani hai

Aye Peer-e-Khiradmandaa'n Dil Ki bhi Zaroorat hai
Yeh Shehar-e-Ghazaalaa'n hai Yeh Mulk-e-Jawaani hai

gham

Friday, 26 June 2009

Har roz hume Milna Har Roz Bicharna hai - Bashir Badr

Har roz hume Milna Har Roz Bicharna hai
Main Raat ki Parchaayi, Tu Subah ka Taara hai

Aalam ka ye sab Nksha Bacchon ka Gharonda hai
Ik Zarre ke kabze mein Sahami hui Duniya hai

Humraah Chalo Mere ya Raah se Hat Jaao
Deewar ke Roke se Dariya Kahin Rukta hai??

Un ke hi Ishaaron par yeh Raat mili hum ko
Jin Chacnd se Chehron ka Saaya bhi Sunehra hai

sannate ki shakhon par kuch zakhmi parinde

Wednesday, 24 June 2009

Bashir Badr Sabz Patte Dhoop ki ye Aag jab Pee Jayenge

Sabz Patte Dhoop ki ye Aag jab Pee Jayenge
Ujle Fur ka Coat pahne halke Jaare Aayenge

Geele Geele Mandiron mein Baal Khole Dewiaan
Sochti hain Un ke Sooraj Devta Kab Aayenge

Surkh Neele Taare Dorte hain Barf par
Kal Humari Tarah ye bhi Dhoop mein kho Jayenge

Din mein Daftar ka kalam Mil Ki Machinein sab hain Hum
Raat aayegi to Palko pe Sitaare Aayenge

Shaam tak Mela hai Pagal Pair Panchi kis

Monday, 22 June 2009

Janam din Shayari Tere Janam Din Par Tujhe Kya Pesh Karu

Tere Janam Din Par Tujhe Kya Pesh Karu
Taj mahal Doon Tujhe Ya chaand Pesh Karu

Aur To Kuch Nahi Mere Pass Aye Mere Sanam
Sochta Hoon Bas Tujhe Apni wafa Pesh Karu

Sunday, 21 June 2009

Har Kadam mein teri hi aahat sunaai deti hai

Har Kadam mein teri hi aahat sunaai deti hai
Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai
Neend bhar soye hue arsa hua mujhko
ke rat bhar khwaabo mein ab tu hi dikhaai deti hai

Khil khilahat se teri khilta tha yoon jo ghar
Khaamsohi ab deewar pe chaspa sunai deti hai
Jhoothi khushi se rokta hu saaki main apna gham
Tanhaai aa aa kar mujhe sachhi rulaai deti hai

Kahte hain kaaynaat me rangi hai har

Saturday, 20 June 2009

shola-e-ishq bujhana bhi nahi chahta hai

shola-e-ishq bujhana bhi nahi chahta hai
Wo magar Khud ko jalana bhi nahi chaahtaa hai

us ko manzoor nahi hai meri gumraahi bhi,
aur mujhe raah pe laana bhi nahi chahta hai

sair bhi jism ke sehraa ki Khush aati hai magar,
der tak Khaak uRaanaa bhi nahiN chaahtaa hai

kaise us shaKhs se tabir pe israar kareN
jo koi Khwaab dikhaana bhi nahiN chaahtaa hai





Other Love Shayaries and Ghazals:
Is

Thursday, 18 June 2009

Wo ek dost jo mujhko KHUDA sa lagta hai

Wo ek dost jo mujhko KHUDA sa lagta hai
bahut kareeb hai phir bhi juda sa lagta hai

NaKhuda Saath hai phir bhi humen saahil na mila
Naseeb humara humsee khafa sa lagta hai

Saari khushiyaan hui haasil hume Zamane ki
phir bhi dil main to koi ghum chupa sa lagta hai
Woh Aik Dost Jo Mujko Khuda" sa lagta hai

koi jab do dilo ke darmian nahin doori
jism ka jism se kyon faslaa sa lagta hai



Other

Chali aati hain dabe paaon teri yaadein shaam dhale

Chali aati hain dabe paaon teri yaadein shaam dhaleke hoti hai chirageen dil ki mehfil shaam dhaleHuye tum kin raahon ke musaafir,itna to bata deteke laut aate hain panchi bhi ghar ko shaam dhaleTere intezaar mein yoon har roz jhilmilati hain aankhenke jaise mazaar pe jalta hai koi diya shaam dhaleLaut aaye na kahin takra ke arsh se duaa meridil se aati hai aksar ye sadaa shaam dhaleTeri doori ka