Thursday, 16 July 2009

Pushp ki Abhilasha Chaah Nahi Main SurBala Ke Gehano Mein

Pushp ki abhilasha by Makhanlal Chaturvedi

Chah Nahi Main SurBala Ke Gehano Mein Goontha Jaaun
Chaah Nahi Premi Mala Mein Bindh Pyaari Ko Lalchaaun

Chaah Nahi Samraato Ke Shav Par He Hari Dala Jaaun
Chaah Nahi Dewon Ke Sar Par Chadhoon Bhagya Par Itraun

Mujhe Tod Lena Banmali, Us Path Par Tum Dena Phaink
Matra Bhoomi Per Sheesh Chadhane,Jis Path Jaayen Veer Anek


चाह नहीं मैं सुरबाला के गहनों

ho gayi hai peer parvat si pighalni chaahiye Dushyant kumar

Ho gayi hai peer parvat si pighalni chaahiye
Is Himalay se koi Ganga nikalni chaahiye

Aaj ye deewaar pardo ki tarah hilne lagi
Shart lekin thi ke ye buniyaad hilni chaahiye

Har sadak par har gali mein har nagar har gaanv mein
Haath lahraate huye har laash chalni chaahiye

Sirf hungaama khada karna mera maksad nahi
Saari koshish hai ke ye soorat badalni chaahiye

Mere seene mein nahi to tere