ye chaandni bhi jin ko choote huye darti hai
duniya unhi phoolon ko pairon se masalti hai
shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamaasha hai
jis daal pe baithe ho woh toot bhi sakti hai
labon mein chingaari jaise koi rakh jaaye
youn yaad teri shab bhar seene mein sulagti hai
Aa jata hai khud khinch kar dil seene se patri par
jab raat ki sarhad se ek rail guzarti hai
Aansoo kabhi palkon par der